Monday, September 5, 2016

FITNA-E-WAHABIYAT



Agar aap kuch hasil karna chahate hai to is posting ko pura zarur
padhen.
padhenge to hame ummeed hai ki ap kuch hasil kar lengay..

Deen-e-ISLAM ko is duniya me tashreef laye hue aaj takreeban
sade chaudah so saal guzre.
Is arse me is paak deen ne hazaro balaon se muqabla kiya.
HUZOOR sallallahualayhewasallam)
k is lahlahate chaman par bahut si tezz andhiyan ayin aur apna-apna
zor dikha kar chali gai. Magar Alhamdulillah ki yah chaman isi
tarah sar sabz wa shadab raha.

Kabhi is par Yazeedi badal aye..

aur kabhi Hujjaji gubar.

to kabhi
Mamuni taaqat ne iske samne ane ki jurrat ki..

aur kabhi Tatari
quwatein issey takrai.

Kabhi Kharji hamle ne issey muqabla kiya.

aur kabhi Rafz ki taaqat ne isko zer karne ki koshish ki.

Magar woh sab ki sab is pahad se takrakar pash pash ho gai aur yeh
pahad isi jagah mazbooti se qayam raha.
Magar in tamam fitno me zabardast fitna aur tamam musibaton
me khatarnak musibat

"WAHABIYON NAJDIYO"

Qarn us shaytanio
ka fitna hai Jiski
khabar Nabi-e-paak Sallallahu Alaihi-wa-Sallam)

ne ALLAH ki aata se hame pehle hi dey di thi aur tarah-tarah se is fitne se musalmano ko agah kar diya tha.





Aaye ab hum dekhte hain ki pyare AAQA Sallallahu Alaihi-wa-
Sallam)
ne kis tarah apne ummatiyon ko is

"FITNA-E-AZEEM"

Se agah kar diya tha.

HUZOOR
Sallallahu Alaihi-wa-Sallam)
ke pas ek Gustakh
aya jiski Daadhi Ghani, sar munda (takla) Tehband TAKHNO SE
(kuch ziyada hi)
UNCHA aur ANKHON K DARMIYAN SAJDAY Ka
NISHAN tha,

AAP (Sallallahu Alaihi-wa-Sallam) ne farmaya k Sarzameen-e-Najd se Iski Nasal se ek Qaum niklegi us Qaum ki ye halat hogi k unke samne tum apni Namazon aur
Rozon ko unki Namazon aur Rozon k Aagay Haqeer Janoge,

Quran tumse achchha padhenge Lekin Quran unke Halaq se niche nahi utrega,

Deen se Aise Nikal Jayenge Jaise teer kamaan se nikal
jata he,

ye log nikalte hi rahenge yahan tak ki inka akhri giroh
Dajjal K saath niklega.

Refrence.
Bukhari Sharif ,Jild 2, Page no 624;

Tirmizi Musnad, jild 4, Page no 424..

SARKAR
Sallallahu Alaihi-wa-Sallam)
k pas jo Gustakh
apni tehband ko takhno se (kuch ziyada hi) upar uthaye aur ghani
dadhi k saath sar mundwaye hue aya tha uska naam

"Zulkhuwaisira"

tha aur uska ta'alluq Qabila-e-banu tamim se tha.

Refrence.
Bukhari Sharif, Jild 1 Page no 501..


Part 2'
Pehlay padhlein.

Yahi waqiya
MISHKAT SHAREEF me Abu Saeed Khudri
(Radiyallahu Ta’ala Anhu)
se manqool hai.

Farmate hain ki hum log HUZOOR-E-ANWAR Sallallahu
Alaihi-wa-Sallam) ki khidmat me hazir the aur HUZOOR
Sallallahu Alaihi-wa-Sallam)
maal-e-ganimat taqseem farma
rahe the ki

"ZULKHAWAISIRA"

naam ka ek shakhs jo QABEELA BANU TAMIM ka rehne wala tha..
aya aur kaha ke aiye ALLAH k Rasool sallallahualayhewasallam)
insaf se kam lo.

Huzoor
Sallallahualayhewasallam)
ne farmaya afsos teri jasarat (himmat, jurrat) par Mai hi insaf
nahi karoonga to aur kaun insaf karne wala hai Agar Mai insaf
nahi karta to tu Khaaib wa khaasir
(tahas-nahas) ho chuka
hota.

”Hazrate UMAR (Radiyallahu Ta’ala Anhu) se jab nahi raha
gaya to unhone arz kiya ki Huzoor mujhe ijazat dijiye mai iski
gardan mar doon
Huzoor
(Sallallahu AlaihiwaSallam)
ne farmaya isey chhod do yeh akela nahi hai iske bahot se sathi hain
jinki Namazon aur Rozon ko dekhkar tum apni Namazon aur
Rozon ko hakeer samjhoge,
woh Qur’aan padhenge lekin Qur’aan unke halaq se neeche nahi utrega.
Yani in sari zahiri khubiyon ke bawajood woh deen se ayse nikal jayenge jaise teer shikar se nikal jata hai.

Refrence.
Mishkat Shareef wa Bhukhari Shareef}

Imam-e-KABA Allama Ahmad bin Dehlaan Makki
(Aalaihir-rehma) Likhte hain ki Ye Maghroor Muhammad Bin Abdul Wahhab Najdi bhi Banu
Tamim se hi tha.
To aain mumkin hai ki wo

"ZulKhawaisira"

tamimi ki Nasl se ho Jis k bare me Hadees aayi hai k Is ki Nasl
se ek Qaum Niklegi"

is hadees ki tafseel part
2 me
guzar chuki hai)

Refrence.
Addurar-us-Sun niyya, Page no 51.

NABI-E-KAREEM
Sallallahualaihewasallam)
ne frmaya Mujhe tum par us shakhs ka Khauf hai jo Quran padhega aur us par Quran ki Ronaq Dekhi jayegi aur Usne Islam ki chadar odhli hogi Phir ALLAH jidhar chahega Usko Behka dega,
wo Islam ki chadar se nikal jayega or Apne (musalman) padosi par Talwar chalayega aur us par
SHIRK KI TOHMAT LAGAYEGA"

Sahaba (raziALALAHanhu) ne
puchha dono me se Mushrik kaun hoga?
Aap sallallahualayhewasallam)
Ne Farmaya SHIRK KI TOHMAT LAGANE WALA"

Refrence.
Tabrani Sharif, jild 20, Page no 88}

HADEES
Ye Musalmano ko Qatal karengey aur But'Paraston ko chhod dengey"

Refrence.
Bukhari Sharif,
raqam-ul-hadees 6880 beroot}

Is Dajjali Giroh jiski kai Nishaniyan
(maslan Sar mundwana, Takhno se tehband wagherah ka kuch ziyada he Unche rakhna,

aap ne mustanad Ahaadis-o-Aqwal se mulaheza farmayi,

ab zara in gustakho par ghazab-e-ILahi ka ek andaz dekhien,

chunanche
NABI Sallallahualaihewasallam)
ne Frmaya
Ye Tamam Makhlooq se Badtareen hain"

Refrence.
Musnad Imam Ahmd, Jild 4, Page no 424..

Hadees.
Hazrat Ibn-e-Umar (Radiyallahota’ala anho)
farmate hain k
RASOOLALLAH SallallahuAlaihi-wa-Sallam)
ne MASHRIQ ki
janib Ishara kar k farmaya k is jagah se shaitan ka seengh niklega.

Refrence.
Bukhari Sharif, Jild 1, Page no 522..

Jazira-e-Arab k mashriq me Najd waaqe hai aur Najd hi k ilaqe Hanfia k ek Maqam Aain'ya me Muslima kazzab paida hua
(jisne Nabuwat ka dawa kiya tha)

phir 1100 saal bad 1703
(1115 hijri) me wahan se Mohammad bin Abdul Wahab Najdi paida hua
(Jisne aaqaid-e-Islam ki dhajjiyan uda di aur
wahabiyat ki bunyad rakhi).

Hadees.
Najd me Iman-o-Aaqaid k ZALZALE aur FITNE
honge aur waha se Shaitan ka
SEENGH niklega.

Refrence.
Tirmizi, Bab-ul-Manaqib, Hadees no 3953}

22-Sep-1934 me Najd Jazira-e-Arb k Mashriqi soobey k ek
Saudi Qabiley ne Musalmano ki Khilafat-e-usmaniya ko todd kar
jazira-e-Arab ki Pak sar'zameen par kabza kiya aur uska nam
Saudi Arab rakha,

aaj bhi wo arz-e- muqaddas unhi fitna parwar Najdiyon k tasallut me hai.

Sochne ki bat ye hai ki kya khilafat-e-usmaniya k afraad jo
Aulad-e-Usman-e-Ghani se they wo Arabi na the?

ya Sahaba ki
nasal se na the?

Agar aysa nahi hai aur yaqinan nahi hai to phir
kya un aulad-e-Sahaba ka qatl-e-aam kar k Haram par kabza
karne wale MUSALMAN ho skte hain??
Zaroor Sochiye..

Hadees.
HUZOOR
Sallallahu Alaihi-wa-Sallam)
ne farmaya Wahan
(Najd) se shaitan kem k DO pairokar niklenge"

Refrence.
Bukhari Sharif, Jild 1,
Page no 141,

Tirmizi Jild 2, Page no 234}

Allama Ahmad bin Zeni Dehlan Makki
(Alaihir-rahma) farmate
hain k Is sey Muraad Muslima Kazzaab aur Muhammad bin Abdul
Wahab Najdi hai.

pehlay padhlein..

aap jante hain k ye (Najdi) Badtareen Makhlooq kyon hain???

Hazrat Ibn-e-Umar (Radiyallaho Ta’ala Anho)
Farmate hain k Ye tamam makhlooq me Bad'tareen hain kyun ki ye Quran ki Un Ayaton ko Jo buto K bare me nazil hui hain unhe ALLAH walon par chaspa karte hain.

Refrence.
Bukhari Sharif, Jild 2, Page no 1024}

Imam-e-Qaba,
Mufti-e-Makka,
Ustad-e-ALA HAZRAT, Allama Ahmad bin Zeni Dehlan Makki Farmate hain k Muhammad Bin Abdul Wahab Najdi ne jin Ayaton se Daleel pakdi hai wo mushrikon k bare me hain un Ayaton ko Musalmano par lagaya.

Aur Imam Bukhari ne Apni Sahih me Hazrat Abdullah Bin Umar se KHAWARIJ ki Alamat Bayan karte huway riwayat likhi hai k jo Ayatein Kuffar k haq me nazil hui hain unhe Muslmano par lagate hain"

Refrence.
Addurar-us-Sunn iyya, Page no 47..

Nabi-e-kareem Sallallahualaihewasallam)
ne Dua ki
Aye ALLAH hamare Mulk-SHAM AUR YAMAN me Baraqat nazil Farma,

logo
(sahabi rizwanullahtalaajmain)
ne arz kiya k hamare Najd k liye Bhe dua dijiye,

AAP Sallallahualaihewasallam)
ne phir farmaya Aye ALLAH hamare Mulk- SHAM AUR YAMAN me Barkat nazil farma,

Logo ne phir kaha k hamare Najd k liye bhi dua kijiye,

to teesri bar AAP Sallallahualaihewasallam)
ne Farmaya k WAHAN (Najd me)
Zalzale aur Fitne paida hongey aur wahan se Shaitan K Giroh (Hawari) Niklenge

Refrence.
Bukhari Sharif, Jild 1, Page no 141
Tirmizi Sharif, Jild 2, Page no 234}

FITNA-E-AZEEM"

PART 8'

NABI-E-KAREEM Sallallahualaihewasallam)
k pas Qabila Banu Tamim aya Apne farmaya Banu tamim basharat ho unhone kaha basharat to Aap de chuke ab Kuch (maal) dijye,
Is par HUZOOR Sallallahualaihewasallam)
ka Chehra-e-mubarak badal gaya Pher Ahl-e-YAMAN se kaha k bashart Qabul karo to unhone kaha k humne Qubul ki..

Refrence.
Bukhari Sharif, Jild 1, Page no 453}

Muhammad bin Abdul wahab Najdi ka Ilaqa NAJD aur Qabila Banu tamim hi tha,

Aur aap logo ne guzre huye post's mulaheza kiya k wo jagah
aur Qabila dono hi
NABI Sallallahualaihewasallam)
ki bashart se mehrum rahe.

NABI-e-kareem Sallallahualaihewasallam)
ne Yaman ki taraf nazar ki pher Iraq ki taraf nazar ki aur pher Shaam ki taraf Nazar ki aur Dua Farmayi
Aye ALLAH IN K DILON KO MERI TARAF MAIL Farma"

Refrence.
Kanzul Ummal, Jild 17, Page no 136,
Beroot}

Baaz (Najdi) Hazraat logon ko Is ghalat fehmi me Mubtala karte hain k Ahadees me jo sarzameen-e-Najd ki mazammat aayi hai us se murad Iraq hai.

lekin mazkura Hadis se Wazeh ho gaya k Iraq k liye to NABI Sallallahualaihewasallam)
ne Dua farmai hai aur Lehaza Najd se murad saudiya ka wohi shaher hai jis ka nam badal kar aaj Riyadh rakhdiya gaya hai

(taki musalmano ko gumrah kiya ja sake)

"FITNA-E-AZEEM"

PART 7'

MISHKAT SHAREEF,
Jild 2, Baab Zikril Yamane washshaam, Page no 582 me BUKHARI SHAREEF ke hawale se riwayat hai ki Hazrat Abdullah ibn-e-Umar
(Radiyallaho Ta’ala anho)
farmate hain ki ek din Dariya-e-Rehmat MUSTAFA
Sallallahu Alaihi-wa-Sallam)
josh me hai Bargah-e-ILAHI me hath uthakar dua farmai ja rahi hai Aiy ALLAH Hamare liye hamare sham me barkat de,
aye ALLAH hamko haamare yaman me barkat de.
Hazireen me se kuchh ne arz kiya ya Rasoolallah sallallahualayhewasallam)
dua farmayen ki hamare najd me barkat de.

Pher Huzoor sallallahualayhewasallam)
ne wahi dua farmai Shaam aur Yaman ka zikar farmaya magar Najd ka naam na liya.

Unhone pher tawajjo dilai ki huzoor sallallahualayhewasallam)
yeh bhi dua farmayein ki najd me barkat ho. Garaz teen bar yaman aur sham ke liye dua farmai.

Bar bar tawajjo dilane par bhi najd ko dua na farmai balki akhir me farmaya Maine is azli mehroom khitta ko dua kis tarah farmao Wahan to zalzale aur fitne paida honge.
Aur wahan shaitani giroh paida hoga.

Isse maloom hua ki Huzoor sayyad-e-aalam ki nigah-e-paak me dajjal ke fitna k bad NAJD ka fitna tha. Jisse
AAP
Sallallahualaihewasallam)
ne is tarah khabar dedi.

"FITNA-E-AZEEM"

PART 9'

Nabi-e-kareem Sallallahualaihewasallam)
ne Sham ki tarf nazar ki aur Dua Farmayi Aye ALLAH In k Dilon ko apni ita'at ki tarf mail farma aur Inke Ird Gird apni Rehmaton ko gher day,

pher Yaman-o-IRAQ ki taraf nazar ki aur Isi tarha Dua farmayi"

Refrence.
Musannaf ibn-e-shaiba, Jild 11, Page no 251}

Is se wazeh ho gaya k IRAQ K Ird Gird to ALLAH ki Rahmatein hain,

Jabki Najd k bare me to naam lekar Ishara kar k Samt bata kar farmaya k waha se Fitna-e-Azima uthega.

yahi wajah hai k saudiyo ne Najd se Muhammad bin Abdul Wahhab Najdi k fitne k bad musalmano ko us fitne se be khabar rakhne k liye Najd ka naam badal kar Riyad rakh diya hai)

Is tamam guftgu se maloom hua ki

“Najd se Iman-o-Aqaid ke Fitne wa Zalzale paida hongey,

Shaitan ka Seengh niklega,
Shaitani Giroh Niklega,

ye But paraston ko chhodengey aur Musalmano ko Qatal karenge,

Musalmano par Shirk ki tohmat lagaenge”

Is farman-e-aali k mutabik

BARAHVEEN sadi me NAJD SE MUHAMMAD BIN ABDUL WAHHAB paida hua..

Usne kya kiya Ahle-e-Harmain wa Deegar muslamano par zulm kiye uski dastan to Saiful Jabbar aur Bawariq-e-Muhammadiya ala Argamatun najdiya wagherah tawareekh me maujood hain.

"FITNA-E-AZEEM"

PART 10'

part 9' pehlay padhlein.

Unke kuch zulm Allama Ibn-e-Abideen Shami ne apni kitab Raddul Muhtar,
Jild Saum, Babul Bughat ke shuru me kuchh is tarah bayan farmayen hain..

Jaise ki hamare zamane me Abdul wahhab ke manne walo ka waqiya hua ki ye log Najd se nikle aur Makka wa Madina par unhone Ghalba kar liya.
Apne ko (yani khud ko) Hambali mazhab ki taraf mansoob karte the. Lekin unka Aqeedah yeh tha ki sirf hum hi musalman hain aur jo hamare aqeede ke khilaf hai woh mushriq hai.

Isliye unhone Ahl-e-Sunnat-wa-Jamaat ka qatal jaiz samjha aur unke ulama-e-ikram ko Qatl kiya.
Yaha tak ki ALLAH ne Wahabyon ki shaukat todi aur unke shahero ko veeran kar diya.
Aur islami lashkaron ko un par fatah di.
Yeh waqiya 1233 hijri me hua..

Refrence.
Raddul Muhtar Jild 7. Page no 413, Pakistan Edition}

Allama Shami ke is Fatwe se apke samne ye sabit ho gaya ki be'shak wo fitna Wahabiyo ka hi hai jiske bare me upar guftgu ki gai hai.
Yaha ek cheez aur dheyan deney wali hai ki Allama shami ne farmaya ki Ahl-e-Sunnat wa jamaat ka Qatl jaiz samjha aur unke Ulama-e-ikram ko Qatal kiya yani Jab tak ye kabza nahi hua tha tab tak waha Ahl-e-Sunnat wa jamaat thi
(yani takreeban 1250 sal tak us paak jagah ki chabi Ahl-e-Sunnat
Wa Jamaat ke pas thi aur bad me wahabiyo ne Qatal-o-qital karke waha kabza kiya.

Saiful Jabbar me Wahabiyon ke Beshumar zulm bayan kiye gae hain ki Makka mukarrama wa Madeena Tayyiba me Be gunaho ko Be-dareg qatal kiya aur Harmain-Shareefain ke rahne walon ki aurton aur ladkiyo se zina kiya. Unko ghulam banaya, unki aurto ko apni laundiya sadat-e-kirma ko bahut qatal wa gharat kiya.
Masjid-e-Nabwi shareef k tamam Qaleen aur jihaad wa fanus utha kar najd le gae.
Tamam sahaba-e-kiram aur ahl-e-bait-e-izam ki kabro ko gira kar zameen se mila diya.

Yaha tak ki yeh bhi irada kiya ki khas gumbad-e-khizra jiske ird gird roz'ana subha wa sham malaiika salaat wa salaam padhte hain usko bhi gira diya jaye magar jo shakhs is buri niyat se roza-e-paak par gaya us par khuda-e-paak ne ek saanp mukkar farma diya,
jisne usko halaak kiya. Aur Rabbul alameen ne apne mehboob ki is aakhri aramgah ko un se mehfooz rakkha.
Garz ki unke zulm behad taqleef deh hain jinke bayan se kaleja muh ko ata hai.

Yazeed ne ahl-e-bait ki dushmani unki zindagi me hi ki magar terah saw baras ke bad Sahaba-e-kiram aur Ahl-e-Baite izam ko unki qabron me satana un wahabiyon ke hathon hua.

NOTE IS POST K DO HISSEY HAIN.

HIND (india) me WAHABIYAT ka bani SAIYYAD AHMAD RAI BARAYLVI aur SHAH ISMAIL DEHLVI hai.

SHAH ABDUL AZEEZ MOHADDIS DEHLVI (alaihir'rehma) k zamana tak mut'tehda HIND (INDIA, PAKISTAN, BANGLADESH)

me sirf 2 JAMA'AT thi.

1 AHL-E-SUNNAT WAL JAMA'AT

2 SHI'A

SAIYYAD AHMAD RAI BARAYLVI 1 zamane tak ABDUL WAHAB NAJDI k saath raha aur ISMAIL DEHLVI ne SAIYYAD AHMAD RAI BARAYLVI k hath par bait kiya

SHAH ISMAIL DEHLVI ISMAIL RAI BARAYLVI aur ABDUL WAHAB k AQUAID-O-NAZARIYAT se muttafiq hokar ABDUL WAHAB (NAJDI) ki kitab

"KITABUT'TAUHEED"

ka urdu tarjumah kiya,

aur kuch baate APNI taraf se milakar 1 RISALA nikala jiska naam naam

"TAQVIYAT-UL-IMAAN"

rakkha.
jo asl me KHABT-UL-IMAAN hai.

jab yeh kitab chapkar manzar-e-aam par aayi to
"HIND k MUSALNANO'N k darmiyan 1 hungama barpa ho gaya

AAM KHAAS U'LLAMA sab WAHABIYAT se sakht nafrat karne lagay yaha tak k WAHABI lafz gali ban gayi

isi wajah se WAHABIO ne
APNAY ANGREZI AAAQ'ON se APNA naam WAHABI k bajaye AHL-E-HADEES manzoor karaya

SHAH ISMAIL DEHLVI ki tardeed KHUD usi k khandanwalo'n ne sabse pehle kiya

HAZRAT SHAH ABDUL AZEEZ aur SHAH ABDUL QUADIR" (alaihimur'rehma) yeh dono ISMAIL DEHLVI k sagay CHACHA they..

aur HAZRAT SHAH MAKHSOOSULLAH aur HAZRAT SHAH MOHAMMAD MOOSA (alaihimur'rehma) yeh dono ISMAIL DEHLVI k sagay chachazaat BHAI thay.

In tamaam ne ISMAIL DEHLVI k BAATIL AQUAID ki ISLAAH karne hazaar koshishe kiya magar har koshish nakam hui..

dar'asal haq baat yeh hai k jab GUMRAAHI aur BADMAZHABI kisi ka muqaddar ban jaye to duniya ki koi taqat usay HIDAYAT nahi de sakti..

NOTE:
IS post k do hissey hain.

PART 11'

Ab Aaiye is silsile me Deobandi Aalim ka bhi Nazariya mulahiza farmamiye:

Muhammad Bin Abdul wahab Najdi terahveen Sadi ki Ibtida me
"NAJD" se Zahir hua,
chunki Ye Aqaid-e-Batila-o-Fasidah rakhta tha Is liye isne AHL-E- SUNNAT WA JAMA'AT se Qatl-o-Qital Kiya, unke Qatal ko baa'is-e-sawab bataya,
aur Hazaron Muslman is k Hathon Shaheed huwaye.

Refrence.
Ash Shihab-us-saqib az Husain Ahmad, Page no 42}

Is tarha apko wahabiyon ke zulm pata chale ki wahabiyon ne kis tarah Musalmano
(Ahl-e-Sunnat wa Jamaat)
par apna kaher barpaya. Aur Ahl-e-Sunnat wa Jamaat se Qatl-o-Qital kar Harmain Shareefain par kabza kiya
Aur aaj bhi wahan unhi Fitna karon ka Qabza hai.

Ye to the Arab k waqiyat lekin hamko is waqt HIND (INDIA) se guftagu karni hai.
Dilli me ek shakhs paida hua jiska naam tha

“ISMAIL DEHELWI”

Isne Muhammad bin Abdul wahab Najdi ki likhi gai kitab

“KITABAUT' TAUHEED"

(jism-e-ALLAH rabbul-alameen aur Huzoor-e-akram
SallallahuAlaihi-wa-Sallam)
wa Auliya-e-kiram ki shaan me beshumar gustakhiyan ki gai is ka urdu me khulasa (translation) kiya jiska naam rakkha

“TAQWIYATUL'IMAN"

aur uski HIND (INDIA) me isha’at ki Ye hazrat apni isi kitab ki badaulat sarhadi pathano (Musalmano) k hatho qatal huwaye Magar wahabion ne mashoor kiya ki sikkhon k hatho maregaye.

Agar sikkhon k hathon qatal huwaye hote to Amritsar ya Mashriqi Panjab k kisi aur shaher me mare jate kyon ki yahi sikkhon ka markaz tha.
Sarhad to pathano ka mulk hai jaha ye mare gaye.

Ismail dehlvi k motqedeen 2 giroh bane Ek to woh jinhone Imamon ki Taqleed ka inkar kiya jo

“GHAIR MUQALID” kehlate hain..

aur Dosre wo jinhone dekha ki is tarah apne ko zahir karne se musalaman humse nafrat karte hain.
unhone khud ko Hanfi zahir kiya aur namaz-Roze me hamari tarah hamare samne aye
(taki logon ko phaans sake)

Molvi MASOOD AALAM NADVI ne "Hashiya bar kitab MOHAMMAD BIN ABDUL WAHAB, PAGE no 16"
par puri biographey wazahat k saath likha.

NAJD ka south hissa AL-AARIZ kaha jata hai (jo RIYADH hai)
jisko JABL-E-IMAMA bhe kehte hain,
US k atraf ki zameen WADI-E-HANIFA hai,
aur SHAIKH-UL-ISLAM MOHAMMAD BIN ABDUL WAHAB ki paidaish AI'ENIYA hai. aur daawat ka markaz DARAI'EYA hai,
jo dono NAJD
(ya'ni RIYADH) me hai..

Refrence.
HASHIYA BAR KITAB MOHAMMAD BIN ABDUL WAHAB, PAGE no 16"

mash'hoor scholar MOHAMMAD FAREED WAAJDI"
likhte hai k
NAJD se QARAMTA aur MUSLIMAYE QAZZAB in dono ne NUBU'AT ka dawa kiya tha aur WAHABIO ka FITNA nikla

Refrence.
"DA'IR-E-MU'ARIFUL QUR'AN, JILD-10, PAGE no 54, PRESS-BEIRUT"
PART 12' ka dosra hissa.

Moulvi ISMAIL DEHLVI k khandan aur US k zamana k ULLAMA aur MASHAIKH ne..

"TAQVIYAT-UL-IMAAN"

k radd me jo kitabay'n likha UN k naam yeh hain.

1) MO'ID-UL-IMAAN RADD-E-TAQVIYAT-UL-IMAAN"

MUSANNIF
HAZRAT SHAH MAKHSOOSULLAH alaihir'rehma.

2) HUJJAT-UL-AMAL, SAWAAL-O-JAWAAB" MUSANNIF
SHAH MOOSA DELHVI" (alaihir'rehma)

3) BAWARIQ-E-MOHAMMADIYA SU'UTUR'REHMAN-ALAQARNI'SHAITAN SAIF-UL-JABBAR MUSANNIF
"FAZL-E-RASOOL" alaihir'rehma..

yaha tak ki
TAQVIYAT-UL-IMAAN
jab likhi gayi to
SHAH ABDUL AZEEZ (alaihir'rehma) ne SHAH ISMAIL DEHLVI ko APNI jayzad se kuch nahi diya.

"SHAH SAHAB" k inteqal k baad koi BUZURG na raha,

AUR ISMAIL DEHLVI APNA KUFR PHAILATA RAHA

"FITNA-E-AZEEM"

PART 13'

Bhala hamare Aaqa Sallallahualaihewasallam) ka
"ALLAH AZZAWAJAL KA ATAI ILM-E-GHAIB"
to dekho ki Huzoor Sallallahualaihewasallam)
ne farmaya ki waha (Najd) se
Qarn-us-shaitan
(shaitani giroh)
niklega is bare me hum pehle hi hadees pesh kar chuke hain)

Urdu me Qarn-us-shaitan ka tarjuma hai

“DEOBAND”

Urdu me Deo kehte hain Shaitan ko aur Band ka matlab hota hai Giroh.

aur aplogo ne bhe dekha he hoga ye dargah chadar nariyal waghera ko sedhaa lejakar mandir se mila dalte hain..

Ab to aap samajh he gae honge ki Wahabi dharam  Rasool-e-paak
Sallallahualaihe wasallam)
k Ilm-e-Ghaib ka inkar kyu karte hain.

Bad me in firqon me se ek firka aur nikal kar samne aya jiska naam
Hai

“JAMAT-E-ISLAMI”

In teeno firqon ke aqeede bilkul ek hain sirf Aamal me kuch zahiri ikhtilaf hai.

Teeno hi giroh Muhammad bin Abdul Wahab (najdi) ko achchha jante kuch to waliullah bhe kehte hain.
Ma'zALLAH.

aur uske Aqaid ke haami hain.

"FITNA-E-AZEEM"

PART 15'

ASHRAF THANVI Ye Tableeghi Jamaat wa Deobandion k

“HAKIM-UL-UMMAT”

hain aur Molana Ilyas Kandhelwi
jo ki Tableegi jamaat ke bani hain in k Ustad bhi hain.

Tableegi jamaat k aalim inhi ke Tarjume wala Quran padhte aur padhate hain.
Inke bare me Molana Ilyas Kandhelwi farmate hain.

“Hazrat Thanvi rehmutallahalay ne bahot bada kam kiya hai.
Bas mera dil chahata hai ki Taaleem to unki ho aur TAREEQA-E-TABLEEGH mera ho,
ki is tarah unki taleem aam ho jayegi.

Refrence.
MALFUZAT-E-MOLANA ILYAS}

ASHRAF THANVI sahab.
Paidaish 19-aug-1863.. Intiqal 4-Jul-1943..

Insha-ALLAH hum agay ki guftagu me aplogo batayenge ki inki kaunsi taleem hai jisey molana Ilyas aam karna chahte hain.

QASIM NANUTVI Tableegi Jamaat inhe

“Hujjatul-Islam”

k naam se jante hain aur ye Tabligi Jamaat ke Markazi Idare

“DEOBAND”

ke baani (yani founder) hain.
Tableegi Jamaat k imam Ilyas Kandhelwi ne isi madarse me Taalim Hasil ki Is madarse se jo bhi fatwa nikalta hai woh puri duniya ki Tableegi Jamaat k nazdik qubool kiya jata hai.

QASIM NANUTVI
Paidaish 1833..
Intiqal 1880..

RASHEED AHMAD GANGOHI.
Ye Madarsa-e-Deoband k co-founder aur dosre (Qasim Nanutvi k bad) Principle Hain.
Tableegi jamaat inhe KUTUB-O-MUJADDID manti hai.
Ye bhi Tableegi Jamaat ke Imam Ilyas Kandhelwi ke ustadon me se 1 hain.

Inke bare me Ilyas Kandhelwi Farmate hai- “Hazrat Gangohi
(yani Rasheed Ahmad Gangohi)
is daur ke kutub-e-irshad aur Mujaddid the.

Refrence.
MALFUZAT-E-MOLANA ILYAS}

Aur Rasheed Ahmad Gangohi ke Inteqal k bad farmaya
“Do sadmo ne mujhe sabse ziyada dard diya hai,
ek mere waalid ka inteqal aur dosra Molana Rasheed Ahmad Gangohi ka inteqal.

RASHEED AHMAD GANGOHI.
Paidaish 10-May-1829.
Intiqal 11-Aug-1905 (1323 AH)

"FITNA-E-AZEEM"

PART 14'

Is Taveel guftagu k bad apke samne ye zahir wa sabit ho chuka hai ki Najd se Fitna-e-Wahabiyat paida hua hai jiska paishwa Muhammad bin Abdul Wahab Najdi hai.
aur jiske muqtadiyon ko Wahabi kaha jata hai.

Ab itna sab kuchh janne k bad jab aap kisi Tableeghi Jamaat k Alim ya Jaankar se Muhammad bin Abdul Wahhab k bare me puchhenge to ho sakta hai ki wo apse ye kahe ki hamara
(Tablighi Jamaat) ka ussey koi ta’alluk nahi hai..

halanki bahot bada ta’alluk hai balki sach aur haq to ye hai ki Muhammad bin Abdul Wahhab he

deobandi.

Tabligi jamaat,

Ghair Muqallideen

wa Jamat-e-Islami ka Imam hai.

Ab ham Muhammad bin Abdul Wahhab se Tableeghi Jamaat ka Ta’alluq bayan karne ki koshish karengey.

Sabse pahle hum apko Tableeghi jamaat ke peshwaon k naam wa unki Tableegi jamaat k nazdeek ahmiyat batayengay aur Muhammad bin Abdul Wahab se unka ta’alluk batayenge.

Ham shuru'at karte hain Molana ILYAS KANDHELAWI SE.

ILYAS KANDHELWI Molana ILYAS KANDHELAWI Tableegi Jamaat k baani
(yani founder) aur Pehle AMEER hain.
Inhone hi san 1920 isvi me tableeghi jamaat ka kam shuru kiya tha. Pahli bar Ilyas Kandhelwi ne tableegi jamaat 1920 isvi me Deoband aur Saharanpur madarso ke graduate students ki 1 jamat banakar MEWAT bheji thi.

Aaj Deobandi jo Chille, Char mahine ,

3 din ki jamaat nikalte hain wo tareeqa ilyas kandhelvi ne hi shuru kiya tha Khud molana Ilyas kehte hain ki

“Is Tableegh ka tareeqa mujh par khwab me munshif hua.

Refrence.
Malfuzat-e-Ilyas}

Ab aap samajh hi gaey honge ki molana Ilyas Kandhelwi tableegi jamaat ke nazdeek kya muqam rakhte honge…

Ilyas kandhelvi ki
Paidaish 1885..
Aur Intiqal 13-July-1944.

YUSUF KANDHELWI Ye molana Ilyas Kandhelwi ke bete they aur Tableegi jamaat ke dosre Ameer.

Ilyas Kandhelwi k intiqal k bad ye hi tableegi jamaat k ameer they.

Yusuf kandhelvi
Paidaish
20-march-1917
(Jamada al-awwal 1335 AH)
Intiqal 1965..

ZAKARIYA KANDHELWI Ye Ilyas Kandhelwi ke bhatije yani unke bhai Molana Yahya ke bete they.
Ye FAZAIL-E-AAMAL ke musannif (writer) hain. Jis kitab ka tableegi jamaato me dars diya jata he.

ZAKARIYA KANDHELWI
Paidaish.
2-Feb-1898
(11-Ramzan-1315 AH) Intiqal 24-May-1982

"FITNA-E-AZEEM"

PART 16'

KHALIL AHMAD SAHARANPURI
Ye bhi Tableeghi jamaat k Jayyad Alimon me se ek hain Aur Rasheed Ahmad Gangohi ke Student hain.
Ye madarsa-e-Deoband k teachers me se ek aur Molana Ilyas ke Ustadon me se ek hain.

KHALIL AHMAD SAHARANPURI
Paidaish December-1852 (Safar/1269)
Intiqal 13-Oct-1927..

ABUL ALA MAUDUDI Ye Bani-e-Jamat-e-Islami hain.
Inhone 1921 me Jamat-e-Islami naam ki ek nayi Jamaat qayam ki.

ABUL ALA MAUDUDI
Paidaish 25-Sep-1903. Intiqal 22-Sep-1979..

Ab hum apke samne Tablighi Jamaat ke aalakaron ka Muhammad Bin Abdul Wahhab se ta’alluk batayenge.

"FITNA-E-AZEEM"

PART 17'

Ab aaplog padhengay k Muhammad Bin Abdul Wahhab najdi ka tableeghi jamat se ta'alluq.

1) Wahabi us jama'at ko kaha jata hai jo Muhammad bin Abdul Wahhab Najdi k motaqid-o-Pairo kar hain"

Refrence.
Mufti Shafi Deo-bandi, Imdad-ul-Muftiyen, Jild 2, Page no 149.

2) Firqa-e-Wahabia (Najdiya) ke saath Tablighi Jamaat ke Sarbarah Molana Dr.Zakariya Kandhelwi
(Shaikhul Hadees Saharanpur)
aur Molana Manzoor Naumani ka bhe taalluq mulahiza farmaiye jise sawaneh Yusuf Kandhelwi ke musannif ke bayan ke mutabiq, Molana Ilyas ke intiqal ke bad unki jaanasheeni k masle par guftugu karte huwaye Molana Manzoor ne Zahir kiya tha ki.

“Ham bade SAKHT WAHABI hain.
Hamare liye is bat me koi khas kashish na hogi ki yahan hazrat ki qabr Mubarak hai, yeh masjid hai jisme hazrat namaz padte the.”

Iske jawab me Molana Zakariya ne farmaya.

“Molvi sahab mai to khud tumse BADA WAHABI hoon
Tumhe mashwara doonga ki hazrat chacha jaan ki Qabar aur hazrat ke hujre aur dare wa deewar ki wajah se yahan aane ki zarurat nahi.

3) Jab Ashraf Thanvi sahab Kanpur ke madarsa Jaame-ul-uloom me padaya karte the to ek din unhone ahl-e-musalla se saf saf keh diya

“Bhai yahan WAHABI rehte hain, yahan fatiha ke liye kuchh mat laya karo.

Refrence.
ASHRAFUS-SAWANEH, Jild 1}

4) Ashraf Thanwi sahab.
"Najdi to aqaid k mamle me Achchhe hain"

Refrence.
Ifazaat-e-Youm ya, Jild 2, Page no 402..

"FITNA-E-AZEEM"

PART 18'

5) Ashraf Thanwi sahab..
Agar mere pas 10,000 rupaye hon,
sab ki tankhwah kar doon pher khud hi sab WAHABI ban jayen.

Refrence.
Ifazatul Yaumiya, Jild saum, Page no 67..

6) Rasheed Ahmad Gangohi:
“Muhammad bin Abdul Wahhab ke muqtadiyon ko Wahabi kehte hain. Unke aqaid umda they aur mazhab unka hambali tha.
Albatta unke mijaz me shiddat thi aur unke Muqtadi achche hain.
Magar han jo had se bad gaye unme fasad aa gaya hai aur aqaid sabke muttahid hain.
Aamal me farq sirf Hanfi Shafai Maliki Hambali ka hai.

Refrence.
FATAWA RASHEEDIYA..

7) Rasheed Ahmad Gangohi:
aqaid k mamley me to muqallid-o-ghair muqallid
(Deobandi & Ahl-e-hadees)
barabar hain"

Refrence.
Fatawa Rasheedya, Page no 511}

Sir Sayyad Ahmad khan Angrezon k daur ka Waqiya bayan karta hai k
"Molvi Husain Batalvi ne Bartanvi Hukumat Ko Khat likha k Sarkari Tehriron me Lafz WAHABI ko Mansukh karke AHL-E-HADEES kiya jae..

(aur Yun Inka nam Ahl-e-Hadis Hogya)

Refrence
Maqalat Sayyid, Page no 207}

Dekha aaplogo ne akabrin-e-Deoband ne khud hi ye iqrar kiya hai k dar-haqiqat ye Bhi Wahabi hain aur isi fitne ka hi hissa hain.

Ye Deobandi Khud ko Ahl-e-Hadees kehlane wale Ghair Muqallid deobandi aur Jamat-e-Islami ye sab ek hi hain sirf inke naam alag alag hain taki bhole bhale musalmanon ko apne dajjali giroh me phans sakein aur unka aqeedah kharab kar saken.

ALLAH hamari aur apki In tamam Wahabiyon se hifazat farmaye aur hamara khatma Deen- e-Islam Ahl-e-Sunnat wa Jamaat par Farmaye
"AAMEEN"

"FITNA-E-AZEEM"

PART 19'

3) Barahinul-Qatia me likhi gai is kufriya ibarat ke bare me jab Rasheed Ahmad Gangohi se puchha gaya to unhone Tauba karne ki bajay sahi bataya aur apni taraf se kuch is tarah Tashreeh ki

“Imkan-e-kizb (jhoot) baimana k jo kuch Haq (Khuda) ne farmaya uske khilaf pe wo qadir hai,
magar khud isko na karega.
(Yani ALLAH jhoot bolne par qadir hai)

aur agey likhte hain. “Imkan-e-Kizb se murad ye hai ki Jhoot qudrat-e-Ilahiya me shamil hai”

Refrence.
Rasheed Ahmad Gangohi, Fatawa Rasheediya, Hissa 1 Page no 10, Line 11 Matbua Rahimiya Delhi..

4) Jhoot Khuda ki Sifat me shamil hai.
Jo maqdurul abd hai wo maqdoor-e-Ilahi bhi hai. (yani jo ALLAH ka banda kar sakta hai wo ALLAH bhi karne ki Qudrat rakhta hai..

Refrence.
Mahmoodul Hassan Deobandi.

Ye hain deobandi imam jinka ye aqeeda hai ki ALLAH Rabbul Alameen jhoot bol sakta hai aur jhoot Khuda ki Qudrat me Shamil hai. "Ma’azALLAH" "Astaghfirullah"

Ab aap khud hi faisla kijiye jo log ALLAH par jhoot bandhne ki koshish kar rahe hain kya wo ALLAH waley ho sakte hain..??

Hum sab musalmano ka ye aqeeda hai ki ALLAH sab cheez pehle se janta hai.

5) Ab dekhiye Wahabiyon ka aqeeda
“Aur insan khud mukhtar hai achchha kare ya na kare aur ALLAH ko pehle se iska koi ilm nahi hota ki kya karenge balki ALLAH ko unke karne k bad ilm hota hai”

Refrence
Husain Ali Deobandi, Tafseer Burghatulhairan Page no 156, Line 25..

"FITNA-E-AZEEM"

PART 20'

Ab aaplog yaha se padhengay Wahabi aur unke Gandey Aqaid..

Kisi bhi Mazhab ya Tehreek ke Aqaid aur Maqasid maloom karne ka aham tareen zariya uske Bani aur Aqabireen ki kitabon se hota hai.

Wahabiyon k paishwaon ne ALLAH Rabbul-Izzat aur Huzoor sallallahualayhewasallam)
wa Auliya-e-kiram ki shan me bahot gustakhiyan ki hain jinki wajah se inka Deen-e-Islam se taalluk khatam ho gaya hai.

Aaiye ab hum tableegi jamaat ke Aqaid unke Alakaron aur Imamo ki kitabo se maloom karte hain Wayse to inki sari gustakhiya likhna yahan munasib nahi lekin kyun ki ye log 24 number se kuchh ziyada hi nisbat rakhte hain isliye hamne yahan sirf 24 gustakhiyan likhi hai.

1) ALLAH Taala ka jhoota hona mumkin hai. Agar tum ye tasleem na karoge to insane ki qudrat ALLAH ki qudrat se ziyada ho jayegi.

Refrence.
Ismail Dehelwi, YAKROZI, Page 145, Line 1 Matbua Farokhi}

2) Imkane Kizb (jhoot) ka mas’ala to kisi ne naya nahi nikala ye to khudamavi ikhtilaf hai ki khalfe waeed aya jaiz hai ki nahi.

Refrence.
Barahinul Qatia, Page no 2 Line 15 Matbua-Deoband}

Aap jante hain Khalfe-waeed kise kehte hain.?

“ALLAH ne ye kaha ki mai tumhe saza doonga aur uske bad ALLAH ne bande ko maaf kar diya”

Goya ki Deobandi Imam ALLAH ki rehmt ko jhoot me shamil karte hain.

"FITNA-E-AZEEM"

PART 21'

part 20 pehlay padhlein.

6) Ab yahi aqeeda Ismail Dehelwi ki nazar me..

“Is tarah ghaib ka dariyaft karna apne ikhtiyar me ho ke jab chahe kar lijiye ye ALLAH sahab ki hi shan hai"

Refrence.
Ismail Dehelwi, Taqviyatul-Iman Page no 23, Line 20..

Matlab Ismail sahab ye kehna chahate hain ki ALLAH ka jo ilm hai wo azli nahi hai balki jab wo chahata hai tab uske pas ata hai yani ALLAH jab kisi ke bare me pata karna chahata hai tabhi use pata chalta hai pahle se ilm nahi hota. (Ma’azALLAH Astaghfirullah)

Wahabiyon k Peero k peer
“Mahmudul Hasan” ka bhi ek aqeedah padhlijea

7) Jhoot, zulm wa tamam buraiyan karna ALLAH k liye koi ayeb nahi aur na in kamo ke karne ki wajah se us ki zaat me koi nuksan asakta hai.

Refrence
Jahdulmaql, Jild 3 Page no 77..

"FITNA-E-AZEEM"

PART 24'

Ab aye Madarsa-e-Deoband ke bani Molana Qasim Nanootvi k kuch aqeede mulahiza farmaiye..

20) Huzoor
Sallallahualayhe wasallam)
k bad bhi koi nabi aa jaye to bhi Huzur ki khatmiyat
(yani akhiri nabi hone par) koi farq nahi ayega.

Refrence.
Tehzeerunnas, Page no 14..

21) Ummati amal
(jaise Namaz, Roze waghairah) me Nabiyon se badh jate hain”

Refrence.
Tahzirunnas, Page no 5 Abul Ala Maududi..

22) Tum ko khuda ki marzi ke mutabiq zindagi basar karne ka tareeqa nahi maloom, ab tumhara farz hai ki khuda ke sachche paighambar ki talash karo Is talash me tumhe hoshiyari se kam lena hai Jab talash ke bad tumko ye maloom ho jaye ki fulan shakhs khuda ka sachcha paigambar hai to us par tumko poora bharosa karna chahiye aur uske har hukum ki ita’at karna chahiye.

Refrence.
Risala-e-Dinyat, Page no 47 Publisher Markazi maktaba Islami Delhi..

23) Sab jagah ALLAH k Rasool
ALLAH ki kitabe lekar aye hain aur mumkin hai ki.

1 Budh

2 Krishna

3 Ram Maani

4 Sukrat

5 Feesa,

6 Gauras

wagheirah bhi inhi Rasoolon me se hon”

Refrence.
Tafheemat, Jild 1 Page no 124 Publisher- Markazi maktaba Islami, Delhi..

24) Jo log hajatein mangne Ajmer ya pher Sayyad Salar Masood Gazi ki mazar par jate hain wo itna bada gunah karte hain ki us gunah ke samne kisi ko qatal kar dena ya kisi ladki se zina karna bhi kamtar hai”

Refrence.
Tajdeedo Ihya-e-Deen, Page no 96.
Publisher- Markazi maktaba Islami Delhi..

"FITNA-E-AZEEM"

PART 23'

17) Huzoor
Sallallahualaihewasallam)
ka milad manana kanhaiya k janamdin manane ki tarah hai balki ussey bhe ziyada badtar hai.

Refrence.
Barahinul Qatia, Page no 152.

18) Huzoor Sallallahualaihewasallam)
ko deewar ke piche ka bhi ilm nahi.

Refrence.
Barahinul Qatia, Page no 55..

Tableegi jamaat ke imam Ilyas Kandhelwi ko apni jamaat ke kam par bada takabbur hai, aaiye unki ye gustakhana ibarat mulahiza farmiye

19) ALLAH Ta’ala agar kisi se kam lena nahi chahate to chahey tamam nabi bhi kitni koshish karle tab bhi zarra nahi hila sakte aur agar lena chahen to tum jaise kamzor insan se bhi wo kam le lein jo tamam nabiyon se bhi na ho sakey”

Refrence.
Makatibe Ilyas, Page no 107..

"FITNA-E-AZEEM"

PART 22'

12) Yani mai bhi ek din mar kar mitthi me milne wala hoon.

Refrence.
Taqviyatul-Iman page no 69 Line 15..

13) Tamam Nabi aur khud HUZOOR Sallallahualaihewasallam)
ALLAH ke bebas bandey hain aur hamare badey bhai hain.

Refrence.
Taqviyatul Iman, Page no 99.

14) kisi aurat ke saath waswase (yani Zina) ka khyal behtar hai issey ki namaz me Nabi ka khyal ajaye”

aur llikhta hai

“Namaz me Huzur-e-Akram Sallallahualaihewasallam)
ka khayal lana apne gadhe aur bail ke khyal me doob jane se ziyada badtar hai”

Refrence.
Sirat-e-Mustaqeem, Page no 668 Line 14 Matbua Delhi..

15) jo koi niyaz kare kisi buzurg ko Sifarish karne wala samjhe to wo aur “Abu Jahal” shirk me barabar hain..

Refrence.
Taqviyatul Iman, Page no 20..

16) Moharram me Imam-e-Hussain (RadiyallahoTa’ala Anho)
ki shahadat ka bayan karna sharbat pilana, ayse kamo me chanda dena ye sab haram hai”

Refrence.
Rasheed Ahamad Gangohi,
Fatawa Rasheediya, Jild 2 Page no 114 Maktab-e-Thanwi Deoband.

"FITNA-AZEEM"

PART 26'

part 25 pehlay padhlein.

1) Gulam Ahmad Qadiyani

2) Molana qasim nanutvi,

3) Molana Rasheed Ahmad Gangohi.

4) Molana Khaleel Ahmad Saharanpuri.

5) Molana Ashraf  Thanvi.

Yeh fatwa aur iska jawab

“Hassamul Harmain”

k naam se chapa Yeh Arbi zuban me hai aur saath me urdu me tarjuma bhi hai Isi tarha duniya ke tamam ullma-e-Deen ne Wahabiyon ko Kafir, Gumrah, Baddeen, Murtad
(Deen se Nikle hue) aur Munafiq qarar diya hai.

Ab aap Hassama-ul-Harmain ka fatwa mulahiza farmaiye.

“Jo in (yani wahabiyon) k kafir hone me aur inke azab me shak kare wo khud kafir hai.

Refrence.
Hassama-ul-Harmain.

Hassamul Harmain ke is fatway ko sunne ke bad shayad hi koi aysa Musalman ho jo in wahabiyon ko musalman mane aur inki ita’at kare.

aaiye ab hum ayse baddeeno par shariyat ka hukum dekhein.

Hadees.
Hazrat Abu Huraira, Hazrat Anas bin Malik, Hazrat Abdullah bin Umar wa Hazrat Jabir (Radiyallaho Ta’ala Anhuma)
riwaat karte hain ki Huzur-e-Aqdas Sallallahualayhewasallam)
ne irshad farmaya
“Agar bad mazhab, bedeen,
Munafiq beemar padey to unko puchne na jao, aur agar wo mar jaye to unke janaze par na jao, un ko salam na karo un ke pas na baitho un k saath na khao na piyo na hi unke sath shadi karo na unke saath Namaz padho.

Refrence.
Muslim shareef,

Abu'daaud shareef,

Ibn-e-Maaja shareef,

Mishkat shareef,

"FITNA-E-AZEEM"

PART 25'

NOTE:
Hamne tableegi jamaat k jo bhi aqaid likhe hain wo sab inhi ki kitabo se naqal kiye gae hain.

Yaad rahey ye kitabein aaj bhi chhap rahi hain aur inke Kutub-khano, Istimo, yahan tak ki Bhopal istime me bhi khareed-o-farokht ki jatin hain aur Tableegi jamaat ke Markaz (Delhi) aur Deoband madarse me bhi millti hain. Aur inki masjidon wa madarson me bhi istemal ki jati hain Agar aap chahen to khud hi tehqeeq karke dekh sakte hain.

Jab HIND (INDIA) me is tarah ki kitabein aur kufri aqeede likhe ja rahe the aur ALLAH aur uske Habeeb Sallallahualayhewasallam)
ki shan me gustakhiyan ki ja rahi thin aur bhole bhale musalmano ke iman par daka dala ja raha tha to ayse waqt me ALLAH paak ne ek azeem hasti Ala Hazrat Mujaddid-e-Deen-o- millat Imam Ahmad Raza Khan RaziALLAHanhu ko apne Deen ki hifazat k liye paida farmaya..

Jisne apne qalam ki talwar se in aqeedon ke likhne walon ki dhajjiyan bikher di aur deen-e-islam ko bacha liya isi liye unhe duniya ne Ala Hazrat mana aur Arab ke Ulmaon ne sar-ankhon pe bithaya. Yahan hamara maqsad Ala-Hazrat ki tareef karna nahi balki ye batana hai HIND (INDIA) me wahabiyat k radd ke liye Ala Hazrat ne kiya tareeqa-e-kar apnaya.

Ala Hazrat ne wahabi imamon ki woh ibratein jo qabil-e-aitraz thin aur unke likhne walon k naam likhkar Arab ke ullamaon ki bargah me yeh iltija ki ke yahan par HIND me falan falan log is qism ki batein karte hain likhte hain aur aysa aqeedah rakhte hain to ayse logon ke liye shariat ka kya hukum hai.

Arab k 35 jallel-o-qadra aalimo ne Ala hazrat ki tareef wa taeed me takreezein likhin aur in 5 logon par Kufar ka Hukum diya.

 "FITNA-E-AZEEM"

PART 28'

Bahot se log ye sonchte hain ki jo insan muslaman k ghar paida hua hai aur uska naam bhi musalmano ki tarah hai to woh chahe jaisa aqeedah rakhe Musalman hi rahega.
Lekin ye ek galat fehmi hai.

Hadees-e-paak mulahiza farmaiye..

Ibn-e-Jareer Tabrani Abushshaikh aur Ibn-e-Mardwiyah Raeesul mufassireen Hazrat Abdullah ibn-e-Abbas se (Radiyallaho Ta’ala Anho)
se riwayat karte hain ki Kuch log Rasool-e-Akram
Sallallahualayhewasallam)
ki shan me be-adabi ka lafz bole Huzoor ne unse puchha to unhone kasam khai ki hamne koi kalamah Huzoor ki shaan me be-adabi ka nahi kaha hai.
Us par ALLAH ta'aala ki taraf se yeh Aayat utri.

“Khuda ki kasam khate hain ki unhone nahi kaha.
Aur be'shak unhone zaroor kufr ki bat kahi aur islam me anay k bad kafir ho gaye”

Parah 10, Ruqooa-16.

Ab to aapke ke samne poori tarha se sabit ho gaya hai ki ye wahabi musalman hain ya Baddeen Gumrah, Murtad hain.

ALLAH Rabbul Izzat irshad farmata hai.
“Aye ghaib ki khabar dene wale (Nabi) jihad farmao kafiron aur munafiqon par aur un par sakhti karo.
Surah-Tauba, Para 10, Aayat 71.

"FITNA-E-AZEEM"

PART 30' LAST POST'

Qarn-us-shaytan ki wo hadees ka scan page.
Jaha se mohammad bin abdul wahab najdi dajjali giroh payda hua.
Jiski khabar ALLAH k rasool sallallahualayhewasallam)
ne pehlay he dedi.

Apna dajjali giroh chupa ne k liye sarey gumrah firghe ilm-e-ghaib k munkir hain.

Inke sarey jo mar kar matthi me milgay molvio ne udhar idhar awam ko ye dars diya k jo ye batay k nabi ghaib jante hain wo jhota hai.

Par adhi baat he pesh ki awam-e-muslima ko apne dajjali giroh me shamil karne k liye.

Nabi khud se ghaib jante hai to wo jhota hai.

ALLAH ki ata se hamare aqa mohammadur rasoolALLAH sallahualayhewasallam ne agah kiya hai ek dajjali giroh niklega unse apna iman bachana warna ye jahunnam me lejayengay.

Hamara ALLAH hum gunehgarao ki tarha tarha se madat karta hai.

Arab me dajjali giroh ki khabar rasoolALLAH sallallahualayhewasallam)
k zariye se batadi.

Jab wohi dajjali giroh hind (india) me pahoncha to yaha par bhe ek azeem shaksheyat ko payda farmadiya.
Jiska naam imam ahmed raza raziALLAHanha hai.

Aap sabhe dekho.
Dajjali giroh ya to rasoolALLAH sallallahualayhewasallam par aiteraz layengay.

Ya pher imam ahmed raza raziALLAHanha par.

Sabhe to mante hain ek ankh ka kana dajjal ayga
Par koi ye dhayan nahi deta k uskey anay k bad kaun uske sathi hain.

Sab mante hain rasoolALLAHsallallahualayhewasallam.
Apni taraf se kuch nahi kehte.
Jo bhe kehte ALLAH ki taraf se kehte hain.

To ALLAH ne apne gunehgar bandao ko dajjali giroh se agah kiya apne piyare habeeb mohammadur rasoolALLAH sallallahualayhewasallam k zariye.

Aur hind me ala hazrat raziALLAHanhu k zariye.

Ab wahabi dharam ko manney walay jo hazrat hain wo agar manqaul molvio ki lambi lambi kahaniya sunkar apne maz'hab-e-islam ko jo chordiya hai.
Wo agar se bareeki se tehqeeq karengay k ye wahabi dharam inko kidhar kheench kar lejaraha hai shirk bid'at k naam par to hamara yaqeeen hai wahabi dharam se tauba karlega.

Aur wahi wapas aajayga jaha se kat kar gaya hai in-sha-ALLAH.

Koi zabardusti nai hai.
Iman apka hai.
Jannat me bhe aapku jana hai.

To aapku he sahi tehqeeq karni hai.

Khudse tehqeeq karo.
Sach aur jhoot ki
Warna ye dajjali giroh apku jahannam lejakar he rahega.

Us hadees ka scan page.
hawala with scan.

Famous Hadith
of
"Qarn-us-Shaytan"

(Horn of the Devils)

(Ksa-Najd) and Hadith of Fadail-e-Ameer Muawiya (raziALLAHanhu) in Masabeeh al Sunnah by Imam Baghawi Vol 4....

JAZAK ALLAHU KHAIR.

in-sha-ALLAH next posting E'SAAL-E-SAWAB PAR HOGI.

Satay connected with us.
The faundar of
S-H-O
Farooq khan razvi quadry sahab.

TALIB-E-DUA.
TEAM JILANI.

ALLAMA MOHAMMAD IBRAHIM MISBAHI QUADRY.

MUFTI MOHAMMED MUNAWAR ASHRAFI SAHAB.

ALLAMA MOHAMMED WASEEM QUADRY SAHAB QIBLAH.

HAFIZ KAREEM NORIE.

JANAB FAROOQ KHAN RAZVI QUADRY SAHAB.

SUNNI LION AL HUSAINI SAIFI.

SHAIK MOHAMMAD IMRAN AL SAIFI.

SYED RAEES KAZI SAHAB.

MOHAMMED MOIN.

SYED MEHMOOD SAHAB.

SHAIK MUSTAFA

HAFIZ ABDUL ANSARI.

IRFAN BARKATI THE POWER OF ASHIQ-E-RASOOL.
sallallahualayhewasallam..

S-H-O
SUNNI HANFI ORGANIZATION

Don't forget to Subscribe us on

www.youtube.com/user/786sho

www.dailymotion.com/786sho

Whatsapp users join us on.
Group ya rasoolALLAH ﷺ
00968-93761198

JILANI GROUP
+919959857148

& Islamic Info Group +919700408490..

 ‪+91 94213 66539: "FITNA-E-AZEEM"

PART 27'

Hazrat Ibn-e-Adi (Radiyallaho Ta’ala Anhuma)
Hazrat Maula Ali (Radiyallaho Ta’ala Anho)
se riwayat karte hain ki Huzoor-e-Akram Sallallahualayhewasallam)
ne irshad farmaya.
“Jo meri izzat na kare aur mere ansari sahaba aur arab ke musalmano ka haq na pehchane wo teen haal se khali nahi

ya to Munafiq hai,

ya Haram ki Aulad,

ya pher Haiz ki halat me jana hua”

Refrence.
Bayhaqi shareef bahawala ish-atul adab lafajilinnasab..

Hazrat Ikrema (Radiyallaho Ta’ala Anhuma)
riwayat karte hain Hazrat Maula Ali (Radiyallaho Ta’ala Anhuma)
ki khidmat me chand baddeen gustakh pesh kiye gae to aapne unhe zinda jala diya.
Jab yeh khabar Hazrat ibn-e-Abbas (Radiyallaho Ta’ala Anhuma)
ko pahonchi to unhone farmaya ke agar Mai hota to unhe na jalata kyun ki Rasoolullah Sallallahualayhe wasallam)
ne kisi ko jalane se mana farmaya hai balki unhe Qatl karta k Rasoolullah
Sallallahu Alaihi-wa-Sallam) ne irshad farmaya:
jo apna Deen-e-islam tabdeel kare use Qatal kardo”

Refrence.
Bukhari shareef, Jild 3, Hadees 1814,
Page no 658..

Hazrat Abu Umamah (Radiyallaho Ta’ala Anho) se riwayat hai ki Sarkar-e-Aqdas Sallallahu Alaihi-wa-Sallam)
ne farmaya badmazhab dozakh walon k kuttey hain.

Refrence.
Daar kutni..

Hazrat Ibrahim ibn-e-Maisarah (Radiyallaho Ta’ala Anho) se riwayat hai ki Rasool-e-Kareem Alaihissalatu wattasleem ne farmaya jisne kisi badmazhab ki izzat ki usne Islam ke dhane par madad ki.

Refrence.
Mishkat Shareef.
 ‪+91 94213 66539: "FITNA-E-AZEEM"

PART 29'

Aur ALLAH Rabbul Alameen irshad farmata hai..
“Aur tumme jo koi unse dosti kare wo unhi me se hai
”Para 6 Surah Maidah, Aayat 51..

Aur hamara ALLAH Azzawajalla farmata hai
“Aye iman walon Apne baap apne bhaiyon ko dost na banao agar woh iman par kufr pasand Karein aur tumme jo koi unse dosti karega to wohi zalim hai.
Surah Tauba.

Aur farmata hai.
“Jo tumme unse dosti karega to beshak woh unhi me se hai.
Be'shak ALLAH hidayat nahi karta zallimon ko”

"Surah Tauba"

ye sureh tauba me hai is ayat se saf zahir apke samajh me ayga.
Dekho yazeed lanati bhe zalim guzra.
Mohammad bin abdul wahabi najdi bhe zali guzra.
Par wahabi dharam k hazrat in dono ko bahot accha mante hain.

Aur ALLAH Ta’ala irshad farmata hai.
“Jis din hum tamam logon ko unke imamon ke sath bulayenge”
Para 15 Surah Bani Israil Aayat 71.

Ab aap hi sonchhiye kya hum kisi wahabi
(jo Deen se phera hua hai, Gustakh-e-khuda wa Rasool sallallahualayhewasallam)
ko Deen ka buzurg mante hai unse mushabihat rakhte hai) ko apna imam banayegey,

kya kisi badmazhab ke pichhe hamari namaz maqbool hogi??

Nahi hargiz nahi Balki hum aur gunahgar ho jayenge..

ALLAH Paak irshad farmata hai.
“Aye iman walon ALLAH se daro aur sachchon ke saath ho jao”
Surah Tauba, Aayat 119.

Ab aap khud hi faisla kijiye Sachcha kaun hai aur jhoota kaun??

Aap khud hi faisla kijiye ki apko sachchon ke saath shamil hona hai ya jhooton k.

Ek taraf sunniyat hai aur ek taraf wahabiyat hai,

dono me utna hi fark hai jitna Jannat aur
Jahannam me hai.

Aap khud hi faisla kijiye ki aap Sunniyat se ta’alluq rakhna pasand karenge ya Wahabiyat se Kya aap unke saath hain jinki kitabon se kufer zahir hota hai..

ya unke jo Ishq-e-RasoolALLAH sallallahualayhewasallam)
ke qail hain??

Iman apka hai Faisla bhi apka hi hai..

ALLAH apku iman ki daulat ata farmaye.
AMEEN"

Ab hum apni guftagu ko yahin samet te hain Agar is dauran humse koi galti hui ho to ALLAH apne Mahboob-e-paak (Sallallahualaihe wasallam)
ke sadqe me hame maaf farmaye.
Aur apke aur hamare Iman ki hifazat farmaye, Ameen.

Astagfirul laha-rabbi-minkulli-zambinw-wa -atoobu- ilaia
La-ilaha-illal lah Muhammad-ur-rasoolALLAH"
sallallahualayhewasallam..

"FITNA-E-AZEEM"

PART 11'

Ab Aaiye is silsile me Deobandi Aalim ka bhi Nazariya mulahiza farmamiye:

Muhammad Bin Abdul wahab Najdi terahveen Sadi ki Ibtida me
"NAJD" se Zahir hua,
chunki Ye Aqaid-e-Batila-o-Fasidah rakhta tha Is liye isne AHL-E- SUNNAT WA JAMA'AT se Qatl-o-Qital Kiya, unke Qatal ko baa'is-e-sawab bataya,
aur Hazaron Muslman is k Hathon Shaheed huwaye.

Refrence.
Ash Shihab-us-saqib az Husain Ahmad, Page no 42}

Is tarha apko wahabiyon ke zulm pata chale ki wahabiyon ne kis tarah Musalmano
(Ahl-e-Sunnat wa Jamaat)
par apna kaher barpaya. Aur Ahl-e-Sunnat wa Jamaat se Qatl-o-Qital kar Harmain Shareefain par kabza kiya
Aur aaj bhi wahan unhi Fitna karon ka Qabza hai.

Ye to the Arab k waqiyat lekin hamko is waqt HIND (INDIA) se guftagu karni hai.
Dilli me ek shakhs paida hua jiska naam tha

“ISMAIL DEHELWI”

Isne Muhammad bin Abdul wahab Najdi ki likhi gai kitab

“KITABAUT' TAUHEED"

(jism-e-ALLAH rabbul-alameen aur Huzoor-e-akram
SallallahuAlaihi-wa-Sallam)
wa Auliya-e-kiram ki shaan me beshumar gustakhiyan ki gai is ka urdu me khulasa (translation) kiya jiska naam rakkha

“TAQWIYATUL'IMAN"

aur uski HIND (INDIA) me isha’at ki Ye hazrat apni isi kitab ki badaulat sarhadi pathano (Musalmano) k hatho qatal huwaye Magar wahabion ne mashoor kiya ki sikkhon k hatho maregaye.

Agar sikkhon k hathon qatal huwaye hote to Amritsar ya Mashriqi Panjab k kisi aur shaher me mare jate kyon ki yahi sikkhon ka markaz tha.
Sarhad to pathano ka mulk hai jaha ye mare gaye.

Ismail dehlvi k motqedeen 2 giroh bane Ek to woh jinhone Imamon ki Taqleed ka inkar kiya jo

“GHAIR MUQALID” kehlate hain..

aur Dosre wo jinhone dekha ki is tarah apne ko zahir karne se musalaman humse nafrat karte hain.
unhone khud ko Hanfi zahir kiya aur namaz-Roze me hamari tarah hamare samne aye
(taki logon ko phaans sake)

Molvi MASOOD AALAM NADVI ne "Hashiya bar kitab MOHAMMAD BIN ABDUL WAHAB, PAGE no 16"
par puri biographey wazahat k saath likha.

NAJD ka south hissa AL-AARIZ kaha jata hai (jo RIYADH hai)
jisko JABL-E-IMAMA bhe kehte hain,
US k atraf ki zameen WADI-E-HANIFA hai,
aur SHAIKH-UL-ISLAM MOHAMMAD BIN ABDUL WAHAB ki paidaish AI'ENIYA hai. aur daawat ka markaz DARAI'EYA hai,
jo dono NAJD
(ya'ni RIYADH) me hai..

Refrence.
HASHIYA BAR KITAB MOHAMMAD BIN ABDUL WAHAB, PAGE no 16"

mash'hoor scholar MOHAMMAD FAREED WAAJDI"
likhte hai k
NAJD se QARAMTA aur MUSLIMAYE QAZZAB in dono ne NUBU'AT ka dawa kiya tha aur WAHABIO ka FITNA nikla

Refrence.
"DA'IR-E-MU'ARIFUL QUR'AN, JILD-10, PAGE no 54, PRESS-BEIRUT"