AHL E SUNNAT WA JAMAT K AQAID PE AITRAZ K JAWAB
KYA ESAALE SAWAB JAIYAZ HAI
Answer. Hzrat Saad RadiyALLAHu Anhu Ne Arz Ki YaRasooLALLAH!
{Alaihisalatu Wassalaam} Meri Maa Ka Inteqal Hogaya To Konsa SadqaAfzal
He? Farmaya PAANI Ka! Phr Unho Ne KUNWAN [Well] Khdwaya Or Kaha Ye
SaadKi Maa Ka He
(AbuDaud J1 P#236) (Musnad e Ahmed J5 P#275) (Behiqee Snan Kubra J4 P#185)
KYA ALLAH K NEK BANDON SE MADAD MANGNA JAYAZ HAI
Answer.SARKAR Alaihisalatusalam: Jab Kisi Ki Koi CHEEZ Kho Jaye Ya
Wo MADAD ChahataHo, Aur Aisi JAGA Ho Jahan Koi GAMKHuAR Na Ho to Wo Yun
Kahe, "Aye ALLAH KBANDO! MERI MADAD KARO"
(Tibrani,Ibn Abi Sheba P#22)
KYA AMBIYA QABAR MAIN ZINDA HAIN
Answer.Sarkar Alahisalatu Wassalam: BeShak ALLAH Ne Zamin Par Haram
Kya K ANBYA KJismon Ko Khaye Pas ALLAH K NABI Zinda Hen Aur Rizq Dye
Jaate Hen
{Rawi:Hazrat Abu Dardaa RadiyALLAHu anhu} {Abu Dawood: #1047, Ibne Maja}
KONSA FIRQA JANNATI HAI
Answer. Mafhum: Bani Israel K 72 Firqe They Meri Ummat K 73 Honge
Aur SiwayeEk K Tamam JAHANNAM Me Jayenge SAHABA (RadiyALLAHu anhum):
Jannat Wale KonHonge? SARKAR (alehi salatu salam):
"JoMere Aur SAHABA K Tariqey Par Honge"
(Tirmizi,Kitabul Emaan H#2565)
KYA ALLAH SE WASEELA DEKAR MANGNA JAYAZ HAI
Answer.AlQur'an: ALLAH Ki Taraf WASILA Dhondo (Al Maida #35) ¤Mafhum
e Hadis: SARKAR(allehe salatu salam): Tum ko Fatah Milti He Aur Rozi Di
Jati He, BUZRUGON orFAQIRON k WASILAY Se. (Mishkat Sharif Babul Fuqara)
KYA AZAN K BAAD DUROOD PADHNA JAYAZ HAI
Answer. Taajdaar e Kainaat [Alaihissalatuwassalam] Farmatey Hen; Jab
Tum Mo'AzzinSe Azaan Suno To Jis Tarah Kahey, Usi Tarah Kaho Phir Muj
Par DUROOD o SALAMParho Aur Mere Wasiley Se DUA Maango.. (Mishkat Sharif
P#64)
KYA RABI UL AWWAL K MAHEENE MAIN JHANDE LAGANABIDDAT HAI
Answer. Jab AaQA (Alehisalatuwasalam) Dunya Me Jalwa Gar Hue To
SHABE WILADATHazrat JibraeL Ne 1 Jhanda KAABE Ki Chatt Par Awezaan Kya 2
Jhande MASHRIQ oMAGRIB Me Lehraye Aehtmam ALLAH Ki TarafSe Tha
[SeeratHalbya J1 P# 109]
KYA JULOOS NIKAALNA SAHABA KI SUNNAT HAI
Answer. Jab Aaqa (Alehissalam) Hijrat Kar K MADINA Sharif Aaye. To
Logon NeKhub Jashn Manaya Nojawan Larke ApniChatton Par Charh Kar Aur
Gulam, Khuddam Raasto Me Phirte The Aur Nara'AeRisalat Lagate Aur Kehte
YA RASOLALLAH!!
(MuslimJ2/P#419)
KYA SHAHEED ZINDA HAIN
Answer. Jo ALLAH Ki Raah Me Maare Jayen Inhe Murda Gumaan Bhi Na
Karo Wo ZINDAHen Or RAB K Paas RIZQ Dye Jate Hen (Aale Imran 169) Dusri
Jaga YahiMafhum(Baqara 154) Jo NABI k Deen ko Bachatey Hue Jo SHAHEED Ho
Uska Ye Maqam ToKhud NABI Ka Kya Martaba Hoga?
KYA HAMARE SARKAR NE KABHI APNA MILAAD MANAYA
Answer. SARKAR (alehisalatuwassalam) MIMBER Par Jalwa Afroz Hue,
Apna ZIKER eWILADAT Kya Aur Apne FAZA'IL Bayan Frmaye (Tirmizi J2 P#201)
Malum Hua K MeeladBID'AT Nhe Jo Log BID'AT Kehte Hen Wo QURAN o HADEES
Se SABIT Kren.
KYA TAWEEZ BAANDHNA JAYAZ HAI
Answer. "Aur Hum Qur'an Me Utaarte Hen Wo Cheez Jo Momino K Lye
(Ruhanio Jismani) Amraz Se SHIFA He" <bani israil="" ayat=""> Is
Ayat K Tehat MehmudAalusi Ne Roohul Ma'ani Me Imam Subki, Imam Malik,
Baqir, Imam Seerin Ka QoalLikha: "Asmae Elahi, Duae Maasura Ka Taweez
Baandhna Sahaba o Tabaeen KaMamul, Jaaiz o Mustaheb He" Ibne Umer Apne
Bachon Ko Muawwizat Ka TaaweezBaandhte They</bani>
(AbuDawood, Tirmizi)
MEELAD KO SHIRK KEHNA KAISA HAI
Answer.Jis Ne Kaha Meelad SHIRK He Wo Daira e Islam Se Kharij
Hogaya... KESEY?Kyunki Meelad Ka Matlab He "Pedaish Ka Din" Aur ALLAH
Peda Hone SePaak He, Jinho Ne Shirk Kaha Wo ALLAH ki Baargah Me Tauba
Karen Or Apne Sho'urSe Haqiqat Ko Jaaney.
KYA HAMAARE AAQA MUKHTIYAARE QULLHAIN
Answer."Aasman Aur Zamin Ki Hr Cheez ALLAH Ne Tumhare Lye Musakhar
KarDi Aur Apni Zahiri o Batini Nematen Di" (Luqman Ayat#20) "Beshak
MujeZamin Ke Khazano Ki Kunjiyan Ata Ki Gayin" (Bukhari J2, P#585,975)
(MuslimJ2, P#250, Mishkat)
SARKAAR KE MILAAD PE KHUSHI MANANE KO QURAN SE SABIT KARIEN
Answer."Aap Keh Dijye ALLAH Ke Fazal Aur REHMAT Ke Husool Par
KhushiManao" (Younus Ayat#58) "Aur Hum Ne Aap Ko Tamam Jahano Ke Lye
REHMATBana Kar Bheja" (Anbyaa Ayat#107) Dekh Lijye Faisla Aap Pr He!
KYA SARKAAR KO ILM E GHAIB HAI
Answer. Hazrat Umer: Sarkar Hamare Darmiyan Khare Hue, AAP Ne IBTEDA
e DUNIYASe Le Kar JANNATIYON Aur DOZAKHIYON Tak Ki Khabar Di Use Jis Ne
Yaad Rakha, SoYaad Rakha Aur Jo Bhool Gaya So Bhool Gaya
(BukhariJ#1 P#453)
KYA WALI BANDON K DIL K HAAL JAANTE HAIN
Answer.Hadees: MOMIN Ki Firaasat Se Daro, Be Shak Wo ALLAH Ke NOOR
Se DekhtaHe (Tirmizi J#2 P#614) Ab Agar Koi Walyo Ki Basaarat Ya Elm Par
Aetraaz KareyTo Goya Us Ne Noor e Elahi Ko Apne Gandey Aetraaz Ka
Nishana Banaya
KYA ALLAH K WALI DOOR SE DEKH OR SUN SAKTE HAIN
Answer.HADEES: ALLAH Apne Nek Bando Ke Mutaliq Farmata He"Me Uske
KaanHojata Hun Jis Se Wo Sunta He, Uski Ankhen Hojata Hun Jis Se Wo
Dekhta He"
(BukhariJ#2 P#963)
Kya Sarkar Ne Rooh Aur Jism Ke Saath MERAAJ Ka Safar Farmaya?
Answer.'PaakiHe Usey Jo Apne Bandey ko Raaton Raat Le Gaya Masjid e
Haraam Se Masjid e AqsaKi Taraf' (Para #15) Ayat Me Lafz "BI ABDIHI" He
Jis se Murad BANDAHe Aur Bandey K Lye Rooh or Jism Ka Ek Sath Hona
Laazim He
KYA NIAAZ JAIZ HAI
Answer.Quran o Hadis Me Kahin Niyaz Ki Mumaniat Nhe Balke Quran Me
Irshad: "ToKhao Us Me Se Jis Par ALLAH Ka Name Lya Gaya, Agar Tum Uski
Aayaten MaanteyHo" (Al-An'am V#118) Yaani Jis Pr ALLAH Ka Name Zikar Kya
Gaya, Jese NIYAZPar FATIHA Dete Waqt Quran Parha
KYA DAMM KARNA ,PADH K PHOOKNA JAIZ HAI
Answer. Hazrat Anas: "Sarkar Ne Nazr e Bad, Zehriley Hewaan Or
KeereyMakoro K Kaatney Se Damm Karne Ki Rukhsat Marhamat Farmayi"
(Muslim) UmmeSalma: "Sarkar Ne 1 Kaneeza K Chehre Me Zardi Dekhi To
Farmaya Isey DammKaro"
(Bukhari-Muslim)
BUZURGON K HAATH PAAON CHOOMNA KAISA HAI
Answer.Ibn e Umar Aur Deegar Sahaba RadiyALLAHu Anhum Ne Farmaya Ke
Hum NeNabi Paak Alehissalam Ke Haath Choomey (Ibn e Maaja J#2 P#404,
H#1498) (AbuDaud J#3 P#640, H#1782) Malum Hua Ke Buzurgo Ke Hath Choomna
Jaaiz Bulke Sunnate Sahaba He.
KYA SHAB E MERAJ MAIN ALLAH KASARKAR NE DEEDAR KARA
Answer Hazrat Anas RadiyALLAHu anh: "HattaK Huzoor Sidratul Muntaha
Pr Aaye Aur Jabbar Rabbul Izzat Apke Qareeb Hua. PhirAur Zyada Qareeb
Hua. Hatta K Wo Aap Se 2 Kamanon Ki Miqdaar Reh Gaya Ya Is SeB Zyada
Nazdeek" (Bukhari) Ibn e Abbas Ne Farmaya "Huzoor Ne ApneRabb Ko Dekha
He" (Tirmizi) Iske Elawa Muslim, Tibrani Wagera Me Bi DeegarAisi Sahee
Ahadis Milti Hain.
KYA BAD MAZHAB KI IQTIDA MAIN NAMAZ DURUST HAI
Answer. Mafhum e Hadis: "Gustakh Ko Imam Mat Banao" (Abu Dawood
J1H479 P221) ALLAH Kisi Bad Mazhab Ki Namaz, Roza, Zakaat Qubul Nahi
Karta (Behiqi)Bad Mazhab Ke Peechey Namaz Parhna Jaiz Nahi (Sharah Fiqh e
Akbar P5; Mulla AliQari)
KYA SAHABA BHI MAZAR PE JA KAR DUA MANGTEY THE
Answer.Dour e Hazrat Umar Me Hazrat Bilal Bin Haris AAQA Sallallahu
AlaihiWasallam K Mazar e Aqdas Par Hazir Ho Kr Arz Ki Ya Rasoolullah
Apki Ummat ParQehat Aagaya He To Sarkar Ne (Khuwab Me Aakar) Farmaya K
Umer Ko Ja K SalamKaho Aur Kaho Apne Kaam Ko Aur Behtar Banaye Tumhe
Barish Mil Jayegi (MusannifIbne Sheba V12 P#32 H#12051) (Fatahul Baari
V2 P#495) (Zurqani V8 P#88)
Hazrat Sareek Bin Sahab Frmate Hy Ki HUZUR Ne Ek
Mauke Par Frmaya Ki Akhiri Zamane Me Ek Zamat
Niklegi Jo QURAN Padhege Lekin Wo In Ke HalQ Ke
Niche Nahi Utrega Wo Log ISLAAM (DEEN) Se Aise
Nikal Jayege Jaise Kaman Se Teer Nikal Jata Hy, Inki Khaas Alamat SIR-MUDANA Hogi Wo Isi Tarah Giroh
Dr Giroh Nikalte Rhege Yaha Tak Ki Unka Akhiri
Giroh DAJJAAL Ke Sath Niklega.
{MISHQAAT SHAREEF: Safa-309}
Sawal:
Onchi Qabar Banana Sahi Hy?
Jawab:
"Usman Bin Mazoon ki Qabr Zamen se Onchi Banai Gai"
Ref:
(Bukhari,Jild#1,Hadis 181 )
Sawal:
Qabr pr phool Dalna Sahi Hy?
Jawab:
"Qabar pr Sabza, phool Dalna Sunnat Hy".
Ref:
(Bukhari,J#1,Hadis #611 )
{BUKHARI J#1, KITABUL WUZU,BAB UL AZABeQABAR, HADEES 169 }
Sawal:
Qabr pr pani Chirakna Sahi Hy?
Jawab:
"Qabr pr pani ChiraknaSunnat Hy".
Ref:
(Mishkat, Jild#1, Hadis #150 )
Sawal:
Qabr Men Madfan Log Sunte Hen?
Jawab:
"Qabar Men Madfan Log Sunte Hen".
Ref:
(Muslim,Jild#2,Hadis #386 )
(Mishkaat, J1,S- 154 , Baab-Ziyarate Qubur)
(Bukhari, J2, S- 566 , Baab-Qatl Abi Jehel)Science & Ilm-e-Gaib Of Nabi( sallalaho
alahi wasallam ) : » 1400 Saal Pehle Insani 360
Haddiyon Ka Zikr Ho Chuka « ■ Hadees:
Hazrat Ayesha (Radiyallaahu Anha) Se
Riwayat Hai Ke Rasool’Allah
(Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne
Farmaya: “Har Insan Ki Takhleeq Me
360 Jod (Joints of Bones) Banaye Gaye
Hain,
So Jis Ne Allahu Akbar Kaha,
Alhamdulillah Kaha,
La’ilaha Illa’llah Kaha,
Subhanallah Kaha,
Astagfirullah Kaha,
Raaste Se Patthar Ya Kanta Ya
Haddi Hatadi,
Acchi Baat Ka Huqm Diya Ya Buri Baat Se Roka To Ye Teen
So Saath (360) Jodon (Joints) Ki Ginti Ke
Barabar (Shukr Ada Karne Ki Tarah)
Hai Aur Goya Wo Shaqs Uss Din
Apne Aap Ko Jahannam Se Aazad
Karwa Kar Chal Phir Raha Hai”. -:(Sahih Muslim, Book 5, Hadith 2199)
■ Science Approval: 1400 Years Years Pehle Na Science Thi Aur
naa Hi Koi Insani Jism Ko Scan Karne Ka
Koi zariya, Rasoolallah
(Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne (Wahi
Ilahi Ke Noor Se) Insani Haddiyon Aur
Jodon Ki Ta’dad Muta’yyan (Exact) Tor Par Teen So Saath (360) Bayan
Farmadi,
Aaj Medical Science Me
Insani Haddiyon Aur Jodon Ke Liye Ek
Mustaqil Shoba Anatomy Wujood Me Aa
Chuka Hai Aur Iss Sho’be Ke Muhaq’qiqeen Ka Tasleem Karna Hai Ke
Insani Jodon Ki Ta’dad Teen So Saath
(360) Hi Hain..!!
Question#1: Meraj ki Haqeeqat Quran se saabit Karen??
Jawab: Meraj Shareef ki Haqeeqat Quran e Majeed se Mulaahizah ho: Al-Quran:
Tarjuma: “Paaki hai jo apney Bandey ko raaton raat le gaya Masjid e
Haraam se Masjid e Aqsa tak, jis k ird gird hum nebarkat rakhi, hum ne
isey apni azeem nishaaniyan dikhain, beshak woh Sunta dekhta hai ”..
(Surah17/Isra(Bani Israel),Aayat#1, Parah#15)
Sarkar e Aazam (Sallalaho Alehe Wassallam) ka safar e Meraj ka zikar
Quran e Majeed main Muta’addid Aayat main Mufassala, Majmalan, Kunyatan
aur ishaaratan milta hai, Mutazzakkarah Aayat k ilaawa Surah
An-Najm(53),Parah 27 ki ibtidai aayaat (1-18) musalsal mazaameen e meraj
ka hi bayaan karti hain..
Mutazzakkarah Aayat main lafz aaya hai بِعَبۡدِہٖ is se muraad
bandah hai q k Bandah Rooh aur jisam k ek saath honey se banta hai warna
agar sirf Rooh hoti to Aayat main بِرُوۡحِہٖ aata..
Magar yahaan بِعَبۡدِہٖ bayaan karna yeh saabit karta hai k Meraj ka
safar Sarkar e Aazam (Sallalaho Alehe Wassallam) ne rooh aur jisam k
saath farmaaya..
Question#2:Hadees ka Mafhoom yun hai k Hazrat Ayesha Siddiqueah
(Razi ALLAH Anhu) farmaati hain k Meraj ki raat Sarkar e Aazam
(Sallalaho Alehe Wassallam) ka jisam gum na paaya is ka jawab den??
Jawab: Hazrat Shah Abdul Haq Muhaddis Dehelvi (Aleh Rehmah)
farmaatey hain k Sarkar e Aazam (Sallalaho Alehe Wassallam) ko ek nahin
balkey kai meraajen karai gai, jin main se ek Meraj Rooh aur jisam k
saath huwi, baqiyah tamaam Merajen Sirf Roohani thin, Hazrat Ayesha
(Razi ALLAH Anhu) ki hadees main jis meraj ka zikar hai woh Meraj e
Roohani hai…
Question#3: Shab e Meraj Sarkar e Aazam (Sallalaho Alehe Wassallam)
ki apney Rab Ta’ala ka deedaar karna ahadees ki roshni main saabit
Karen??
Jawab: Sarkar e Aazam (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Shab e Meraj apney Sir ki aankhon se RAB TA’ALA ka deedaar kiya..
Al-Hadees: Tarjuma: “ Hazrat Abdullah Ibn e Abbas (Razi ALLAH Anhu)
se riwaayat hai k Sarkar e Aazam farmaatey hain k menay apney RAB E
KAREEM ko dekha ”..
(Musnad Ahmed Az Kitaab: Deedaar e Ilaahi)
Is Hadees k baarey main Imam Jalaal ud Deen Sayooti (Aleh Rehmah)
Khasais ul Kubra aur Allama Abdur Raouf Sharah Jamey Sageer main
farmaatey hain k yeh Hadees SAHIH hai..
Al-Hadees: Tarjuma: “ Hazrat Jaabir se Riwaayat hai k Sarkar e Aazam
(Sallalaho Alehe Wassallam) farmaatey hain k Be-shak ALLAH TA’ALA ne
Hazrat Moosa (Aleh Salaam) ko dolat e Kalaam bakhshi aur mujhey apna
Deedaar ata farmaaya, Mujh ko Shifa’at e Kubra o Hoz-e-kosar se fazeelat
bakhshi ”..(Ba-hawala: Ibn-e-Asakar Az Kitaab: Deedaar e Ilaahi)
Al-Hadees:Tarjuma: “ Tibrani Mojam ul Auwsat main hai k Hazrat
Ibn-e-Abbas (Razi ALLAH Anhu) ne farmaaya, Huzoor (Sallalaho Alehe
Wassallam) ne apney RAB Azzawajal ko dekha, Akrama (Razi ALLAH Anhu)
farmaatey hain k menay kaha kiya ALLAH TA’ALA ne nahin farmaya "لاتدرکہ
الابصار وھو یدرک الابصار" Hazrat Ibn-e-Abbas (Razi ALLAH Anhu) ne
faramaya, Tum per Afsos hai k yeh to us waqt hai jab woh Apney Zaati
Noor se jalwa gar ho, Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) ne apney RAB ko
Do (2) Martabah dekha ”..(Ba-hawala:Tirmizi Shareef, Jild#2, Abwaab
Tafseer ul Quran, Raqam ul Hadees#1205, Page#518, Matboo’a Fareed Book
Lahore)
Al-Hadees:Tarjuma: “ Hazrat Akramah se Riwaayat hai Aayat e Kareemah
"ماکزب الفوادمارایٰ" k baarey main Hazrat e Ibn e Abbas (Razi ALLAH
Anhu) ne farmaaya, Huzoor (SallalahoAleheWassallam) ne ALLAH TA’ALA ko
Dil (ki aankhon) se dekha ”..
(Ba-hawala: Tirmizi Shareef, Jild#2, Abwaab Tafseer ul Quran, Raqam ul Hadees#1207,Page#519, Matboo’a Fareed Book Lahore)
Aqeedah: Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) k Khasais se Meraj hai k
Masjid e Haraam se Masjid e Aqsa tak aur wahaan se Saaton Aasmaan aur
Qursi o Arsh tak balkey balaey Arsh raat k ek Khufif Hissa main Ma’
jisam Shareef Tashreefle gaey aur woh Qurb e Khaas haasil huwa k kisi
Bashar o Mulk ko kabhi haasil huwa na hoga, aur jamal e Ilaahi apney Sir
ki aankhon se dekha, aur Kalaam e Ilaahi, Bil-wasta Suna aur Tamaam
Malakut us Samaawat Wal Ard ko BilTafseel Zarrah Zarrah Mulaahizah
farmaaya ..(Bahare Shari’at#1)
Like·1 hour ago
Shahid Behlim

created by
SALAHUDDIN QADRI RAZWI
SUBHAN ALLAH.
ReplyDelete